Thursday, August 18, 2011

Bharatiya Matdata ki bhavana:

Marta kya na karta
Chala mein paidal jahan thi bheed, nange paon
pehenne ko na thi ek chappal
Gira ek pani bhare khadde mein
na thi dhang ki sadak
Utha chala aur laga katar mein paseene se tar
na thi sar par chaon
Ranga kar apni ungli socha mein khada
Matpatra dekh mera mat, "mat mat kar" kehne laga
Ek kuan toh ek khayee
Ankhen band kar prabhu ka nam le daba dee ek button
Marta kya na karta
Chun liya ek kuan wo bhi sukha
Na paani hai na khana
Silsila ye hi chala har panch varsh
Har matdan bas agle ki umeed de pata hai
aur kuch nai karta
Main bechaara marta kya na karta?